.......Ek Dard do Dil kehata hai "TUM SE"......yeh woh maya hai jo sirf tumse pyar karti hai
yeh woh maya hai jo sirf tumko chahti hai
yeh woh maya hai jiska din tum se shuru hota hai
yeh woh maya hai jiski sham tumse dhalti hai
yeh woh maya hai jiski dil ki dhadkane tumhare liye hain
yeh woh maya hai jo sanson ki mala pe tumhara hi naam japti hai
yeh woh maya hai jiska junoon hai tumse pyar karna
yeh woh maya hai jiska pagalpan hai tumse pyar karna
yeh woh maya hai jiske har aansoo pe tumhara naam likha hai
yeh woh maya hai jisne apni har muskurahat tumhare naam ki hai
yeh woh maya hai jo tumhe kabhi toot ta hua nahi dekh payi
yeh woh maya hai jo kabhi tumhari ankhon mein woh nami nahi dekh payi
yeh woh maya hai jo tumhare chehre pe woh udasi nahi dekh payi
yeh woh maya hai jo tumhari tadap bardasht nahi kar payi
yeh woh maya hai jo hawa ke har jhonke se tumhara pata poochti hai
yeh woh maya hai jo har aahat pe tumhari raah takti hai
yeh woh maya hai jo tumhare pyar ke bharam mein jeeti hai
yeh woh maya hai jo tumhari us ek nazar ke liye jeeti hai
yeh woh maya hai jo palkon ki chilman se tumhe chup ke dekhti hai
yeh woh maya hai jiski rangat khil jati hai tumhari ek nazar se
yeh woh maya hai jo tumhe kisi aur se pyar karte nahi dekh sakti
yeh woh maya hai jo tumahre bina nahi reh payegi
yeh woh maya hai jo hamesha tumhare pyar ke liye tarsi hai
yeh woh maya hai jo hamesha tumhare pyar ke liye tarsegi
yeh woh maya hai jo hamesha se hi tanha thi
yeh woh maya hai jo tanha hi rahegi
yeh woh maya hai jiske dil ne phir se use ek baar dhokha diya hai
yeh woh maya hai jiske dil ne aaj phir ek chahat ki hai
ki ek baar phir se use apni bahon mein samet lo
ek bar phir gale se laga ke keh do
ki tum aaj bhi mujha utna hi pyar karte ho......